Tuesday, February 28, 2012

jis maa ke 125 crore bete hon, sse loot rahe hain kuch gadar?

jis maa ke 125 crore bete hon, itni hi aankhen hon , itne hi hath hon ,
usse loot rahe hain kuch gadar ,
kyu bhul gaye hum maa ki mamta , kaha gaya maa ke liye piyar ,

main to maa ka beta hun , fir kyu nahi tadfta dil mera maa ke rone se ,
... nahi sudre ge mere desh ke neta aankhen band kar sone se ,
jago kab tak karte rahonge intzar ,
kyu bhul gaye hum maa ki mamta , kaha gaya maa ke liye piyar ,

ek vo the yo hash kar fasi par latke ,
ek hum hain yo baich maa ko bhar liye sone ke matke ,
kyu karte hai hum apni hi maa ko sharmida bar bar ,
kyu bhul gaye hum maa ki mamta , kaha gaya maa ke liye piyar ,

paise me itni takat hai beta maa ko baich raha hai ,
bharat maa fir ho jaye gumal kas aaise paich raha hai,
corruption se azadi ke liye karna hoga janlokpal se bar ,
kyu bhul gaye hum maa ki mamta , kaha gaya maa ke liye piyar ,
jis maa ke 125 crore bete hon, itni hi aankhe hon , itne hi hath hon ,
usse loot rahe hain kuch gadar , jai hind

No comments:

Post a Comment