Tuesday, February 21, 2012

Gandhi Ji ke prati Dushprachaar -1

Isame koi shak nahi ki Gandhi Ji ne Brahmcharya Vrat liya tha. Gandhi Ji ke Vrat kitane Sacche aur Majaboot hote they jagjahir hai.. Itihas padh lijiye.
Agar ye sab sach bhi hai to isako nakaratmak aur galat artho me lena galat hoga aur isake bahut side effect honge. Chaaku to surgeon bhi uthata hai. Baat Chaaku haanth me lene ki nahi hai...

Agar Gandhi Ji kahate hain ki koi unaki Adhyatmik Patni hai aur Ye Brahmacharya ke prayog hain to hame Man lena chahiye. Unhone Satya vrat bhi liya tha. Satyagrah karane wale log hamare aap ke paimane se nahi samajhe jaate. Agar man me chor... hota to ye pic nahi li jaa sakati thi. Chor bhav wale chori chhupe karate hain.
Khud dekhiye, jo bhi tha Gandhi Ji ne khud bola hai. For ex: मसलन इस बारे में गांधी ने ख़ुद लिखा है, “नहाते समय जब सुशीला निर्वस्त्र मेरे सामने होती है तो मेरी आंखें कसकर बंद हो जाती हैं। मुझे कुछ भी नज़र नहीं आता। मुझे बस केवल साबुन लगाने की आहट सुनाई देती है। मुझे कतई पता नहीं चलता कि कब वह पूरी तरह से नग्न हो गई है और कब वह सिर्फ अंतःवस्त्र पहनी होती है।” Hamare Aap ke paimaane Itane sacche hote to Bharat Vishwagur ban gaya hota ab tak.
Aap ye baat faila sakate hain lekin log isake marm ko samjhenge isaki guarantee nahi le sakate. Aur agar inake galat matalab nikale gaye to Bharatiyo aur Hinduo ke saath kafi Anyaay hoga.
1. Vishwavijayi British Raaj ki 200 saal ke shashan ke viruddha ... 2. Barister ki jindagi ka tyaag kar.. 3. Us jamane me Satyagraha aur Amaran anashan jaisa karane waale ... 4. aur Ahinsa ka Vision dekhane wale kitane hote hain aur kais...e hote hain? "Satyagrah karane wale log hamare aap ke paimane se nahi samajhe jaate..". Meri niji soch hai ki Gandhi Ji Jamane se bahut vikasit soch aur drishti rakhate they. Hamari nasamajhi aur chhoti soch agar aise Swatantrata Sangram Senani ki be-izzati ka karan banati hai to ham jis layak hai wahi hamare saath ho raha hai..

No comments:

Post a Comment